Posts

Showing posts from May, 2012

POEM_: Khudi Aur Khuda / ख़ुदी / خودی

Khudi Aur Khuda Main aazaad hoon.   Haan, shayad. Tum bhi aazaad ho.   Haan, shayad. Lekin yeh aazaadi kis cheez ki aazaadi hai? Daadhi waale hazrat farmate hain: karne ki. Kya vaaqai? Shayad tum ko ho aazaadi karne ki mujhe to nahin hai. Aray, karne ki aazaadi to Khuda ko bhi nahin.   Kyunkeh jo hai, so hai. Saanp, saanp rahta hai. Aur ’asa, ’asa. Mujhe to aazaadi hai bas khud ko jaanane ki. Shayad tum ko bhi sirf vohi aazaadi hai. Lekin voh aazaadi bohot badi aazaadi hai. Jitna jaanogay khud ko utni hi aazaadi paaogay. Jitna jaanogay khud ko utna hi Khuda ko paaogay. Kyunkeh jaanana hi Khuda hai Jaanana hi aazaadi hai Jaanana hi khud ko paana hai Jaanana hi Khuda ko jaanana hai Jaanana hi Khuda ko paana hai. Khuda hi khudi hai. Aur khudi mein hi Khuda hai. - ख़ुदी और ख़ुदा मैं आज़ाद हूँ . हाँ , शायद . तुम भी आज़ाद हो . हाँ , शायद . लेकिन यह आज़ादी किस चीज़ की आज़ादी है ? दाढ़ीवाले हज़रत फ़रमाते हैं : करने की . क्या वाक़ई ? शायद तुम को हो आज़ादी करन...