POEMH: Ghazal - Aashiq Hoon / Kya Hai
Ghazal Aashiq hoon, ishq ke siwa kiya kya hai Na kaho, ke tum faqeer ho, diya kya hai Mehram bhi ho, haram bhi, haraam bhi Ahraam baandhe hoon, ab haya kya hai Aayega voh laut kar, phir mere hi paas Zingdagi khel samjhe hai, jiya kya hai Aashiq ka gribaan hai, kitne jatan karoge Sau baar hi taanka hai abhi, siya kya hai Tumhari hi chahat hai, baqi to bas hain Aakhirat bhi chhod doonga, duniya kya hai Sadqe tumhari pyaas ke yeh jaam surahi Darya hi sukhaya hai abhi, piya kya hai Hum se aashiq hain har dar pe hazaron Tu na ho mehboob to phir naya kya hai Sirf naam-o-izzat-o-daulat hi luti hai abhi Jab tum ho saath mere, to phir gaya kya hai Jaan, rehne do andhera kuch daer aur abhi Saraapa noor ho tum, mujhe diya kya hai Khudaaon ke Khuda khud ho, mujh se poochho Masjid ko jaao kyun, tumhen khuda kya hai Bhoolun main khudi ko, khud ko, khuda ko Mujhko jo mil jaaye tu, to phir bachaa kya hai Khushdil ki khataon ko muaaf kaun karega Nafraton ka daur hai, yeh maajraa kya hai - (c) owa...