POEM_: Aap hi badh ke karo / आप ही बढ़ के करो

Aap ke karo un ko naman ho ke na ho
Aap hi kijiyega un ko dafan ho ke na ho

Mujh se kya poochhte ho mere batan ki halat
Khar bahar bhi hain andar bhi chaman ho ke na ho

Jis ja baithoon main faqat tujh ko taka karta hoon
Tere jeevan se mera aaj gaman ho ke na ho

Tujh se milne ko chaloon saath mein kuch to rakh loon
Jaan bhi nikle to tere paas kafan ho ke na ho

- owais

------------------------------------------------------------------------------------------

आप ही बढ़ के करो उन को नमन हो के न हो
आप ही कीजियेगा उन को दफ़न हो के न हो ।

मुझ से क्या पूछते हो मेरे बतन की हालत
ख़ार बाहर भी हैं अन्दर भी चमन हो के न हो ।

जिस जा बैठूं मैं फ़क़त तुझ को तका करता हूँ
तेरे जीवन से मेरा आज गमन हो के न हो ।

तुझ से मिलने को चलूँ साथ में कुछ तो रख लूँ
जाँ भी निकले तो तेरे पास कफ़न हो के न हो ।

- उवैस

--
This is first being published on this page.

Comments

Popular posts from this blog

POEMH: Ghazal - Aashiq Hoon / Kya Hai

POEME: All I Ever Ask

POEM_: Words and The Law